main us ki anjuman men akela nahin gaya
jo main gaya to phir koi tanha nahin gaya
main chahta tha us ki nigahon se khelna
lekin zara si der bhi khela nahin gaya
mumkin nahin tha husn o nazar ka muvazana
mujh se to us ko Thiik se dekha nahin gaya
tahvil men kisi ki pahunch ke hai ḳhush vo dil
jis ko kisi maqam par rakkha nahin gaya
donon taraf thi ek shikayat likhi hui
chaha kabhi gaya kabhi chaha nahin gaya
Leave a Reply