kaha gaya na kabhi aur kabhi suna na gaya
main aisa harf huun jo aaj tak likha na gaya
daba ke honton men laai thi muddaa kya kya
magar vo samne aaya to kuchh kaha na gaya
bichhad ke tum se abhi tak bhatak rahi huun main
tumhare ghar ki taraf koi rasta na gaya
abhi bhi yaad hai tum ko hamare haath ki chaae
khuda ka shukr abhi tak vo zaiqa na gaya
kai mavaqe miri zindagi men aae magar
kisi pe hans liye itna ki phir hansa na gaya
main apne chehre par ankhen talash karti rahi
vo jab talak mujhe apni jhalak dikha na gaya
main aate aate nishane pe rah gai ‘rakhshan’
ki ab ke baar bhi us ka ghalat nishana gaya
Leave a Reply