kafir-e-ishq ko kya se kya kar diya
but ne haq ashna ashna kar diya
koi dekhe haqiqat mire kufr ki
main ne jis but ko puuja ḳhuda kar diya
parsa.i dhari rah ga.i shaiḳh ki
chashm-e-jadu-asar tu ne kya kar diya
dekhne vaale ka.aba samajhne lage
kitna raushan tira naqsh-e-pa kar diya
but-parasti men ki main ne vo bandagi
but-kade ko bhi qibla-numa kar diya
ai fana meri mayyat pe kahte hain vo
aap ne apna va.ada vafa kar diya
Leave a Reply