kachche rang utar jaa.en to sab kuchh yunhi lagta hai
saare ḳhvab bikhar jaa.en to sab kuchh yuun hi lagta hai
ret ka Dher nazar aate hain shahr ke saare puḳhta ghar
chiḳhon se dil Dar jaa.en to sab kuchh yunhi lagta hai
talvon men siine ki dhaḌkan honTon par muddat ki pyaas
jab ham ”jan-nagar” jaa.en to sab kuchh yunhi lagta hai
bhige bhige chand sitare shabnam rut niila akash
us ke baal sanvar jaa.en to sab kuchh yunhi lagta hai
kursi mez kitaben? bistar anjane se takte hain
der se apne ghar jaa.en to sab kuchh yunhi lagta hai
TuuTi kashti duur kinara zehn men kuchh guzre qisse
ham jab biich bhanvar jaa.en to sab kuchh yunhi lagta hai
Leave a Reply