astin men saanp ik palta raha
ham ye samjhe hadsa Talta raha
aap to ik baat kah kar chal diye
rat-bhar bistar mira jalta raha
ek gham se kitne gham paida hue
dil hamara phulta-phalta raha
zindagi ki aas bhi kya aas hai
mauj-e-dariya par diya jalta raha
ik nazar tinka bani kuchh is tarah
der tak ankhen koi malta raha
ye nishan kaise hain ‘baqi’ dekhna
kaun dil ki raakh par chalta raha
Leave a Reply