gurezan tha magar aisa nahin tha
ye mera ham-safar aisa nahin tha
yahan mehman bhi aate the hava bhi
bahut pahle ye ghar aisa nahin tha
yahan kuchh log the un ki mahak thi
kabhi ye rahguzar aisa nahin tha
raha karta tha jab vo is makan men
to rang-e-bam-o-dar aisa nahin tha
bas ik dhun thi nibha jaane ki us ko
ganvane men zarar aisa nahin tha
mujhe to khvab hi lagta hai ab tak
vo kya tha vo agar aisa nahin tha
padegi dekhni divar bhi ab
ki ye sauda-e-sar aisa nahin tha
khabar luun ja ke us isa-nafs ki
vo mujh se be-khabar aisa nahin tha
na jaane kya hua hai kuchh dinon se
ki main ai chashm-e-tar aisa nahin tha
yuun hi nimta diya hai jis ko tu ne
vo qissa mukhtasar aisa nahin tha
Leave a Reply