Is Gham-Kade Se Kuchh Na Laga Hath Hamare

is gham-kade se kuchh na laga haath hamare

ah-e-dil-e-sozan hi chali saath hamare

dard-o-gham-o-andoh-o-alam nala-e-jan-kah

hain dushman-e-jani sabhi yak zaat hamare

jis ghaat se dil tu ne liya yaar hamara

afsos ki haath aai na vo ghaat hamare

khatra na karo aao milo shauq se pyare

jo samjhe ho dil men nahin vo baat hamare

kya ham ne bigada falak-e-sifla ka ‘joshish’

kyuun darpai-e-iza hai ye din raat hamare

Leave a Comment