har-qadam par shauq-e-manzil ki faravani to hai
rah-e-dushvar-e-mohabbat men ye asani to hai
be-shak is jiine se mar jaane men asani to hai
lekin ai dil marzi-e-qatil ki qurbani to hai
sach hai shevan se mire un ko pareshani to hai
lekin aḳhir dard-e-uzr-e-nala-e-samani to hai
kamyabi ho na ho baiTha na rah tadbir kar
mudda.a bas men nahin hai sa.i-e-imkani to hai
aaj ye taskin kaafi hai ki kal roz-e-jaza
ruedad-e-zist kah kar dad-e-gham paani to hai
haan yahan ye hai ki maqsud-o-tamanna saath hain
varna ye jannat hamari jani-pahchani to hai
ek zarf-e-dil hai us men do ki gunja.ish kahan
duur ai jam.iyat-e-ḳhatir pareshani to hai
haan bure ko bhi na iiza de ki us ki zaat men
ḳhu-e-insani nahin hai ruh-e-haivani to hai
rahnuma.i aql se chahi shuru-e-ishq men
afv kar ai be-ḳhudi ye meri nadani to hai
dekhiye bazar-e-mahshar men ye kin damon bike
jins-e-gham ki ḳhair se duniya men arzani to hai
aur niklegi koi tadbir pairahan-dari
hon jo shal hain haath shauq-e-chak-damani to hai
aa.ine men eqtidar-e-husn ki surat kahan
aa.ina rakh de idhar aa meri hairani to hai
un ko kya TuuTe kisi ka dil ki rusva ho koi
ḳhush rahen yusuf ki sabit pak-damani to hai
kis gharaz se phir gavara kijiye taklif-e-zabt
raaz rakh kar bhi mohabbat ki saza paani to hai
ahl-e-dil se ye jahan ḳhali bhi rahta hai kahin
‘urfi’-o-‘ghalib’ nahin ‘fani’ nahin ‘mani’ to hai
Leave a Reply