jo shab hui to nazare utar ke aa.e hain
zamin pe dekho sitare utar ke aa.e hain
kisi ki niind abhi tak hai beach dariya men
kisi ke ḳhvab kinare utar ke aa.e hain
hava ke lams ne avaz di hai maazi ko
bujhe se dil pe sharare utar ke aa.e hain
ye kis ka zikr havaon ne aaj chheḌa hai
lahun ke aankh se dhare utar ke aa.e hain
bhaTak rahe the ḳhalaon men chand-tare jo
tiri talash men saare utar ke aa.e hain
falak ko dekh ke ‘jyoti’ yahi hua mahsus
falak pe rang tumhare utar ke aa.e hain
Leave a Reply