‘ali’ jis ka fann-e-suḳhan men ik andaz nirala tha
naqd-e-suḳhan men zikr ye aaya dohe paḌhne vaala tha
jaane kyuun logon ki nazren tujh tak pahunchen ham ne to
barson ba.ad ghazal ki rau men ik mazmun nikala tha
kya vo ghaTa tire ghar se uTThi kya vo tu ne bheji thi
bunden raushan raushan thiin aur badal kaala kaala tha
ajnabiyon se dhoke khana phir bhi samajh men aata hai
is ke liye kya kahte ho vo shaḳhs to dekha-bhala tha
ham na mile aur jab bhi mile to donon ne iqrar kiya
haan vo va.ada aisa tha jo puura hone vaala tha
tapti dhupon men bhi aa kar apni yaad dilate hain
chand-nagar ke ‘insha’-sahib aale jin ka haala tha
Leave a Reply