Phir Rah-E-Ishq Wahi Zad-E-Safar Mange Hai

phir rah-e-ishq vahī zād-e-safar māñge hai

vaqt phir qalb-e-tapāñ dīda-e-tar māñge hai

sajde maqbūl nahīñ bārgah-e-nāz meñ ab

āstāñ husn kā sajde nahīñ sar māñge hai

kis ne pahuñchā diyā us hosh-rubā vaadī meñ

ki jahāñ vahshat-e-dil zād-e-safar māñge hai

merī duniyā ke taqāzoñ hī pe mauqūf nahīñ

diin bhī ek nayā fikr-o-nazar māñge hai

ishq ko zāviya-e-dīd badalnā hogā

jalva-e-husn nayā zauq-e-nazar māñge hai

sab kī āñkhoñ se bachā kar jo kabhī luuTe the

vaqt har chor se vo la.al-o-gohar māñge hai

diin o duniyā ho ki ho ishq o havas ai ‘saġhar’

har koī ḳhūn-e-jigar ḳhūn-e-jigar māñge hai

Leave a Comment