• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sarab-E-Shab Bhi Hai Khwab-E-Shikasta-Pa Bhi Hai

Sarab-E-Shab Bhi Hai Khwab-E-Shikasta-Pa Bhi Hai

shahida-hasan

sarab-e-shab bhi hai khvab-e-shikasta-pa bhi hai

ki niind mangte rahne ki kuchh saza bhi hai

tamam umr chunungi main reza reza tujhe

pas-e-ghubar-e-nigah ek aina bhi hai

supurd-e-raqs kiya main ne har tamanna ko

lahu ke shor ki ab koi intiha bhi hai

main kyuun na ek hi qatre se sair ho jaun

kisi ki pyaas ko dariya kabhi mila bhi hai

miyan-e-rah kadi dhuup men na chhod mujhe

bata to de ki kahin ghar ka rasta bhi hai

main is charagh ko dushman ki saf men kyuun rakhkhun

ye mere naam pe kuchh der ko jala bhi hai

hazar lazzat-e-khamosh ke nashe men ho dil

sukhan ke naam pe kuchh harf mangta bhi hai

mire khilaf gavahon ki kuchh kami bhi nahin

magar har ek mire haq men bolta bhi hai

simat ke rah gae divar-e-shahr-e-khauf men log

kise khabar ho ki zinda koi bacha bhi hai

hujum-e-tishna-laban ka suragh de mujh ko

virasaton men miri dasht-e-karbala bhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ajab Hain Surat-E-Haalat Ab Ke

kaT Gain Jab Josh-E-Izhaar-E-Hunar Mein Ungliyan

majrooh-sultanpuri

Yun To Aapas Mein Bigadte Hain Khafa Hote Hain

fatima-hasan

Phir Yun Hua Ki Zindagi Meri Nahin Rahi

poet

dushman Ba-Nam-e-dost Banana Mujhe Bhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet