• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi Bhi Rasm Ho Kuchh Ho Bahana Hota Tha

Koi Bhi Rasm Ho Kuchh Ho Bahana Hota Tha

poet

koi bhi rasm ho kuchh ho bahana hota tha

na jaane kya tha ki milna milana hota tha

kisi se milte agar dil se ho ke milte the

ajiib log the kaisa zamana hota tha

vo laḌ-jhagaḌ ke bhi ik dusre pe marte the

ye sab to tha hi magar ana-jana hota tha

koi bhi toḌ nahin ahd-e-yad-e-mazi ka

hazar gham the magar muskurana hota tha

ye tarbiyat thi gharon men har ek beTi ko

kisi bhi haal men ho ghar bachana hota tha

varaq varaq the kitabon ke mo’atabar itne

har ek lafz ko dil men basana hota tha

agar tha ishq to is men bhi aisi shiddat thi

bhanvar men aise hi bas kuud jaana hota tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kitne Dardon Mein Dawaon Ki Si Tasir Bhi Hai

Aise Ghar Mein Rah Raha Hun Dekh Le Be-Shak Koi

meer-hasan

Hai dhyan Jo Apna Kahin Ai Mah-Jabin Aur

darshika-wasani

Ek Aur Sharabi Sham

Kab Tak Gardish Mein Rahna Hai Kuchh to Bata Ayyam Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet