ye ajuba to ho nahin sakta
sab kuchh achchha to ho nahin sakta
jis pe aata hai us pe aata hai
dil sabhi ka to ho nahin sakta
chaah ko taak par rakhen kab tak
yuun guzara to ho nahin sakta
aur kuchh rasta nahin varna
gham gavara to ho nahin sakta
ab se bas muskura ke dekhenge
tum se jhagḌa to ho nahin sakta
saath men hogi is ke rusva.i
ishq tanha to ho nahin sakta
Leave a Reply