hui sar-gashta khaak apni ghubar-e-karvan ho kar
mujhe qismat satati hai raqib-e-kamran ho kar
dil-e-pazh-murda ashiq ko tum apne samne rakhna
tamasha raqs-e-bismil ka dikhaega tapan ho kar
hamare is dil-e-viran-shuda men ai but-e-raana
tumhari aarzu ghabra rahi hai mehman ho kar
udaya tezi-e-bad-e-saba ne gar to gham kya hai
ghubar apna bulandi par rahega asman ho kar
mire dil ki imarat go shikasta haal hai lekin
makan-e-khas ho jaega us ka la-makan ho kar
anis-o-monis-o-hamdam umiden ho nahin saktin
kahan jaata hai ai dil yusuf-e-be-karvan ho kar
karen kya guftugu ankhen mila kar un raqibon se
tumhari bazm men but ban gae hain be-zaban ho kar
hamare dida-e-hairat-zad men khvab kya aae
ki teri aarzu baithi hai is men pasban ho kar
lagana vaar halka qatl-gah men mujh pe ai qatil
ki lutf raqs-e-bismil main dikhaun nim-jan ho kar
miri kahidgi aur na-tavani puchhte kya ho
gham-e-hijran dabata hai mujhe bar-e-garan ho kar
khuda ke fazl se is bostan-e-naat-e-midhat men
‘jamila’ naghma-zan hai bulbul-e-khush-dastan ho kar