• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabhi Yaqin Se Hui Aur Kabhi Guman Se Hui

Kabhi Yaqin Se Hui Aur Kabhi Guman Se Hui

kabhi yaqin se hui aur kabhi guman se hui

tire huzur rasa.i kahan kahan se hui

falak na mah-e-munavvar na kahkashan se hui

khuli jab aankh mulaqat ḳhak-dan se hui

na falsafi na mufakkir na nukta-dan se hui

ada jo baat hamesha tiri zaban se hui

khuli na mujh pe bhi divangi miri barson

mire junun ki shohrat tire bayan se hui

jo tere naam se mansub mera naam hua

to shahr bhar ko adavat bhi meri jaan se hui

suna ke sab ko akela hi ro raha tha main

kisi ki aankh na tar meri dastan se hui

jinhen tha Dubna un ko bhi de diya rasta

kabhi kabhi ye ḳhata bahr-e-be-karan se hui

‘faragh’ haath se kya daman-e-ḳhirad chhuTa

ki sar pe sang ki barish jahan-tahan se hui

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sare Chaman Ko Dasht Mein Tabdil Kar Gae

Aansu to Koi Aankh Mein Laya Nahin Hun Main

ismail-merathi

Rah-O-Rasm-E-Khat-Kitabat Hi Sahi

Na Kuredun Ishq Ke Raaz Ko Mujhe Ehtiyat-E-Kalam Hai

poet

Chalte Chalte Rahon Se kaT Jaana paDta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet