kabhi tufan ke Dar se qadam moḌe nahin jaate
kisi surat usul-e-zindagi toḌe nahin jaate
kisi se aas kya rakhna mudava kyon kare koi
jo ham ḳhud aap aTkate hain vo roḌe nahin jaate
koi chaqu koi ḳhanjar ya phir talvar le kar aa
ki ham se ḳhuun ke rishte yunhi toḌe nahin jaate
are nadan zara tham ja ghaḌi bhar soch le ruk ke
kisi bad-zauq ke pichhe kabhi dauḌe nahin jaate
hamare zabt ki kashti bahut hi Dagmagati hai
magar ummid ke daman yunhi chhoḌe nahin jaate
qadam ahista rakhiyega are ye shisha-e-dil hain
agar ye TuuT jaate hain to phir joḌe nahin jaate
Leave a Reply