kabhi to un ki taraf se safa.iyan itni
kabhi ada-e-jafa par duha.iyan itni
ham ajnabi the to thiin ham men ḳhubiyan kya kya
mile to niklin hamin men bura.iyan itni
mira ḳhayal to ye hai ki ab se khul ke milen
jab ehtiyat pe hain jag-hansa.iyan itni
gila tha bahr-e-gila lekin ab to shak guzra
huzur pesh na karte safa.iyan itni
firaq-e-ramz-e-mohabbat sahi pa milte raho
ki ajnabi hi na kar den juda.iyan itni
Leave a Reply