kabhi surḳhi se likhta huun kabhi kajal se likhta huun
main dil ki baat jazbon ki hari konpal se likhta huun
main tera naam jab likhta huun apne dil ki taḳhti par
gulab-o-mushk se zamzam se ganga-jal se likhta huun
bujha kar zahr se rakkhe hain yaron ne qalam apne
magar main to vahi kevḌe se aur sandal se likhta huun
ḳhushi ki dastan banjar zaminon ki hatheli par
gulabi nuur barsate hue badal se likhta huun
‘salim’ aati hai jab sachcha.i likhne ki miri baari
fasil-e-shahr par jalti hui mash.al se likhta huun
Leave a Reply