kabhi ranj-o-gham to kabhi be-kasi hai
miri zindagi bhi ajab zindagi hai
gila kya karun un ke zor-e-sitam ka
hamesha se un ki ye aadat rahi hai
mohabbat men jiina mohabbat men marna
miri zindagi ka aqida yahi hai
hua kya hai aḳhir hamen bhi pata ho
bhala ham se kyon aaj ye be-ruḳhi ho
agarche gham-e-dahr ka samna hai
magar mere honTon pe phir bhi hansi hai
bayan kya karun kaifiyat dil ki ‘asi’
mohabbat men ab jaan par aa bani hai
Leave a Reply