kabhi na socha tha main ne uḌaan bharte hue
ki ranj hoga zamin par mujhe utarte hue
ye shauq-e-ghota-zani to naya nahin phir bhi
utar raha huun main gahra.iyon men Darte hue
hava ke rahm-o-karam par charagh rahne do
ki Dar raha huun na.e tajrabat karte hue
na jaane kaisa samundar hai ishq ka jis men
kisi ko dekha nahin Duub ke ubharte hue
main us gharane ka chashm o charagh huun jis ki
hayat guzri hai ḳhvabon men rang bharte hue
main sab se milta raha hans ke is tarah ki mujhe
kisi ne dekha nahin TuTte bikharte hue
‘faragh’ aise bhi insan main ne dekhe hain
jo sach ki raah men paa.e ga.e hain marte hue
Leave a Reply