kabhi madhur kabhi miThi zaban ka sha.ir huun
isi sanad se main hindostan ka sha.ir huun
dikhenge mujh men tumhen zaḳhm ghaav dono hi
ḳhilaf-e-zulm ke aajiz bayan ka sha.ir huun
main apni fikr ko mahdud rakh nahin sakta
zamin-o-arsh makin-o-makan ka sha.ir huun
guman kahta hai ke main yaqin ka sha.ir huun
yaqin kahta hai ke main guman ka sha.ir huun
jahan hai zarra qamar aur jahan qamar zarra
main us zamin ka main us asman ka ka sha.ir huun
abhi mujhe na suḳhnavar kaho mire ahbab
abhi suḳhan men faqat imtihan ka sha.ir huun
mujhe na dekho yuun nafrat bhari nigahon se
main ‘hashmi’ huun main amn-o-aman ka sha.ir huun
Leave a Reply