sukut-e-marg men kyuun rah-e-naghma-gar dekhun
main ḳhud hi saaz ki manind TuuT kar dekhun
mire dayar tire shahr hain ki sahra hain
main ek tarah ka manzar nagar nagar dekhun
vahi hon ariz-o-abaru-o-chashm-o-lab phir bhi
har ek chehre pe ik chehra-e-digar dekhun
ziya-e-najm-o-mah-o-mehr-o-kahkashan se alag
ajiib raushaniyan tujh ko dekh kar dekhun
miri kami tujhe mahsus ho rahi thi jahan
vahin pahunch ke tiri raah umr bhar dekhun
ghubar-e-rah-e-numa.i se aT ga.i hai faza
taras gaya huun ki rahon ko ik nazar dekhun
tiri shahi ki havas men hai meri jaan ka ziyan
main tere taaj ko dekhun ki apna sar dekhun
na puchh harf-e-tamanna ki vus.aten ‘sadiq’
chale jo baat to sadiyan bhi muḳhtasar dekhun
Leave a Reply