kya zarurat be-zarurat dekhna
tum na aine ki surat dekhna
phir gaiin bimar-e-gham ko dekh kar
apni ankhon ki muravvat dekhna
ham kahan ai dil kahan didar-e-yar
ho gaya teri badaulat dekhna
hai vo jab dil men to kaisi justuju
dhundne valon ki ghaflat dekhna
samne tarif pichhe galiyan
un ki munh dekhi mohabbat dekhna
jin ko baaqi hi na ho ummid kuchh
aise mayuson ki hasrat dekhna
mira ḳhat ye kah ke ghairon ko diya
ik zara is ki ibarat dekhna
aur kuchh tum ko na aaega nazar
dil men rah kar dil ki hasrat dekhna
sub.h uTh kar dekhna ‘ahsan’ ka munh
aise vaison ki na surat dekhna
Leave a Reply