Dard-O-Gham Ki Hikayaten Mat Puchh

dard-o-ġham kī hikāyateñ mat pūchh

dil pe guzrī qayāmateñ mat pūchh

saarī koshish hai be-husūl tirī

zaḳhm-e-dil kī jarāhateñ mat pūchh

ik nazar meñ na jaane kyā dekhā

ham se āñkhoñ kī hairateñ mat pūchh

zarre zarre meñ hai tirī sūrat

ham se apnī shabāhateñ mat pūchh

ham ne sadiyāñ guzār diiñ is meñ

ek pal kī rifāqateñ mat pūchh

yaad karnā to hai kamāl tirā

bhuul jaane kī ādateñ mat pūchh

hai mohabbat to e’tibār bhī kar

har amal kī vazāhateñ mat pūchh

Leave a Comment