Ba-Roz-E-Hashr Mere Sath Dil-Lagi Hi to Hai

ba-roz-e-hashr mire saath dil-lagī hī to hai

ki jaise baat koī aap se chhupī hī to hai

na chheḌo bāda-kasho mai-kade meñ vaa.iz ko

bahak ke aa gayā bechāra aadmī hī to hai

qusūr ho gayā qadmoñ pe loT jaane kā

burā na māniye sarkār be-ḳhudī hī to hai

riyāz-e-ḳhuld kā itnā baḌhā chaḌhā ke bayāñ

ki jaise vo mire mahbūb kī galī hī to hai

yaqīñ mujhe bhī hai vo ā.eñge zarūr magar

vafā karegī kahāñ tak ki zindagī hī to hai

mire baġhair añdherā nahīñ satā.egā

sahar ko shaam banā degī āshiqī hī to hai

ba-chashm-e-nam tirī dargāh se gayā ‘fārūq’

ḳhatā muaaf ki ye banda-parvarī hī to hai

Leave a Comment