kabhi kabhi mujhe itna bhi tu nibhaya kar
ki apne aap ko kuchh der bhuul jaaya kar
na chhat pe chand Tikega na raat Thahregi
har ek ḳhvab ko ankhon men mat sajaya kar
main chahti huun ki har ruup men tujhe dekhun
kabhi kabhi miri baton se tang aaya kar
tiri pasand ki ghazlen main likh to duun lekin
ye shart hai ki unhen hi tu gungunaya kar
main kashtiyon ki kahani tujhe suna.ungi
tu sahilon ki kahani mujhe sunaya kar
main apne aap se milne ko bhi taras ja.un
mire vajud men itna bhi mat samaya kar
Leave a Reply