kabhi kabhi main ye sochta huun ki mujh ko teri talash kyuun hai
ki jab hain saare hi taar TuuTe to saaz men irti.ash kyuun hai
koi agar puchhta ye ham se batate ham gar to kya batate
bhala ho sab ka ki ye na puchha ki dil pe aisi ḳharash kyuun hai
uTha ke hathon se tum ne chhoḌa chalo na danista tum ne toḌa
ab ulTa ham se to ye na puchho ki shisha ye paash paash kyuun hai
ajab do-rahe pe zindagi hai kabhi havas dil ko khinchti hai
kabhi ye sharmindagi hai dil men ki itni fikr-e-ma.ash kyuun hai
na fikr koi na justuju hai na ḳhvab koi na aarzu hai
ye shaḳhs to kab ka mar chuka hai to be-kafan phir ye laash kyuun hai
Leave a Reply