kabhi hota huun zahir jalva-e-husn-e-niko ho kar
kabhi khatir men chhup jaata huun teri aarzu ho kar
kabhi kam ho ke sharmata huun misl-e-qatra saghar men
kabhi kasrat se ruk jaata huun shishe ka gulu ho kar
badha leta huun aksar rabt yar-e-pak-daman se
lipat jaata huun dast-o-pa se main ab-e-vuzu ho kar
sukunat se bahut badh ke hai meri khana-bar-doshi
raha karta huun har khatir men teri justuju ho kar
nahin hai ehtiyaj-e-ghair vaqt-e-josh-e-betabi
chhalak jaata huun be-taklif saaqi main subu ho kar
sikhai hai nai tadbir mujh ko meri khatir ne
pasand aata huun dushman ko bhi teri guftugu ho kar
nahin chalti koi tadbir kya kya fikr karte hain
main kar deta huun qaail sab ko teri guftugu ho kar
taqaza-e-tamanna se na ik ja do-ghadi baithe
phiraya umr-bhar aalam men teri justuju ho kar
na kyuun kar shor ho aalam men meri fikr-e-khatir ka
dilon ko khinch leta huun tumhara rang-e-ru ho kar
nahin mumkin kabhi tar-damani men farq kuchh aae
baha karte hain ashk-e-chashm mere ab-ju ho kar
nishan kya puchhte ho be-nishanon ke thikanon ka
dimaghon men raha karta huun main gesu ki bu ho kar
kabhi mulk-e-halab men huun kabhi shahr-e-khutan men huun
nahin rahta tiri shohrat ki surat ek su ho kar
kharash-e-zakhm-e-sina muddaton ka duur karta huun
lipat jaata huun jab shane se zulf-e-mushk-bu ho kar
kami main bhi miri hasti ki hasti aur paida hai
kabhi abru bhi ban jaata huun qasr-e-abru ho kar
utha leta huun jo aae musibat apne sar par main
saha karta huun zulm-e-dil-ruba ashiq ki khu ho kar
bhali ko bhi samajhta huun buri har dost dushman ki
nahin qaabu men main rahta mizaj-e-jang-ju ho kar
mire soz-e-darun men sau tarah ke lutf hasil hain
jalata huun dilon ko yad-e-yar-e-shama-ru ho kar
lahu se pairahan tar dekh kar yaron ne farmaya
‘nasim’ aaya hai ku-e-yar se kya surkh-ru ho kar
Leave a Reply