• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apne Kahte Hain Koi Baat to Dukh Hota Hai

Apne Kahte Hain Koi Baat to Dukh Hota Hai

apne kahte hain koi baat to dukh hota hai

hans ke karte hain isharat to dukh hota hai

jin se mansub mire dil ki har ik dhaḌkan ho

vo na samjhen mire jazbat to dukh hota hai

mujh ko mahrum kiya tum ne gila koi nahin

hon jo ghairon pe inayat to dukh hota hai

jism-o-jan jin ke liye ham ne luTa Daale huun

chhoḌ jaa.en jo vahi saath to dukh hota hai

duur se roz-e-masarrat ka dikha kar badal

gham ki karte hain jo barsat to dukh hota hai

hijr men din to kisi taur guzar jaate hain

jalne lagti hai kabhi raat to dukh hota hai

be-sabab chhoḌ diya us ne koi baat nahin

log karte hain savalat to dukh hota hai

mujh ko be-laus mohabbat ke evaz men ‘shamsi’

ho ata zaḳhm ki saughat to dukh hota hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Be-Kasi Mein Asar Yagana Hai

poet

Aisa Lagta Hai Kisi Gumbad Se Takrai Na Thi

naz-butt

Tujhko Sochun Main Su-Ba-Su Ho Kar

Is Ishq Mein Darkar Kahani Hai Zaruri

Is Iltifat Par Koi Daman Na Tham Le

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet