• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Geet / Kya Miliye Aise Logon Se Jin Ki Fitrat Chhupi Rahe

Kya Miliye Aise Logon Se Jin Ki Fitrat Chhupi Rahe

sahir-ludhianvi

kya miliye aise logon se jin ki fitrat chhupi rahe

naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe

khud se bhi jo khud ko chhupaen kya un se pahchan karen

kya un ke daman se lipten kya un ka arman karen

jin ki aadhi niyyat ubhre aadhi niyyat chhupi rahe

naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe

jin ke zulm se dukhi hai janta har basti har gaanv men

daya dharam ki baat karen vo baith ke saji sabhaon men

daan ka charcha ghar ghar pahunche luut ki daulat chhupi rahe

naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe

dekhen in naqli chehron ki kab tak jai-jai-kar chale

ujle kapdon ki tah men kab tak kaala sansar chale

kab tak logon ki nazron se chhupi haqiqat chhupi rahe

naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe

Filed Under: Geet Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Barq Se Aashiyan Ka Rishta Hai

poet

dil Ka Khoj Na Paya Hargiz dekha Khol Jo Qabron Ko

gulzar

Main Kaenat Mein

Junun Ke Josh Mein Insan Ruswa Ho Hi Jata Hai

Dastan Hai Hasin Shararon Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet