• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Aisa Utra Main Us Sang-Dil Ke Shishe Mein

Kuchh Aisa Utra Main Us Sang-Dil Ke Shishe Mein

kuchh aisa utra main us sang-dil ke shishe men

ki chand saans bhi aa.e na apne hisse men

vo ek aise samundar ke ruup men aaya

ki umr kaT ga.i jis ko ubuur karne men

mujhe ḳhud apni talab ka nahin hai andaza

ye ka.enat bhi thoḌi hai mere kaase men

mili to hai miri tanha.iyon ko azadi

juḌi hui hain kuchh ankhen magar dariche men

ghanim bhi koi mujh ko nazar nahin aata

ghira hua bhi huun charon taraf se ḳhatre men

mira shu.ur bhi shayad vo tifl-e-kam-sin hai

bichhaḌ gaya hai jo gumrahiyon ke mele men

hunar hai sha.iri shatranj shauq hai mera

ye ja.idad ‘muzaffar’ mili hai virse men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Nahin Duniya Mein Siwa Khaar-O-KHas-E-Kucha-E-Dost

Wo Chehre Jo the Husn Ke Tufan Ki Tarah

Tujh Par Meri Mohabbat Qurban Ho Na Jae

poet

Aaya Jo Mausam-E-Gul To Ye Hisab Hoga

Chala Hun Ghar Se Main Ahwal-E-Dil Sunane Ko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet