• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Meri Surat Mein Mera Yar Hai Allah Allah

Meri Surat Mein Mera Yar Hai Allah Allah

poet

miri surat men mira yaar hai allah allah

mire dil men mira dildar hai allah allah

kya hi tasvir bani hai ye aha ha ha ha

is men aapi vo numudar hai allah allah

shakl-e-adam ke siva aur na bhaya naqsha

saare aalam men ye iz.har hai allah allah

mera jism aur miri jaan hai vahi jaan bilkul

main kahun kya ki main huun yaar hai allah allah

masti-e-har-do-jahan hai dil-e-adam se ayaan

yahi behosh to hoshyar hai allah allah

jis ko nisbat ho payambar ki vahi ho agah

meri baton men jo asrar hai allah allah

ḳhaka murshid ka hava men to hua yaar ayaan

ye ajab faiz ka darbar hai allah allah

qissa qarnon men na tai hota vo dam-bhar men hua

fazl murshid ka ye iz.har hai allah allah

shah-e-‘mardan’ na koi aur na ḳhadim na safi

shakl-e-ahmad ka ye iz.har hai allah allah

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Yun Guzre Chaman Se Ki Gulistan Nahin Dekha

Jin Ki Yaaden Hain Abhi Dil Mein Nishani Ki Tarah

Paikar-E-Sang-O-Ahang Jaisa Tanha khaDa Hun Waise To

akhtar-ansari

Pur-Kaif Ziyaen Hoti Hain Pur-Nur Ujale Hote Hain

poet

Har-Chand Bhare dil Mein Hain Lakhon Hi Gile Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet