soch men gum be-karan pahna.iyan
ishq hai aur hijr ki tanha.iyan
raat kahti hai ki kaTne ki nahin
dard kahta hai karam-farma.iyan
bain karti hai darichon men hava
raqs karti hain siyah parchha.iyan
ḳhamushi jaise koi ah-e-tavil
siskiyan leti hui tanha.iyan
kaun tu hai kaun main kaisi vafa
hasil-e-hasti hain kuchh rusva.iyan
yaad se teri sukun yuun aa gaya
sub.h dam jaise chalen purva.iyan
Leave a Reply