kabhi dekhen jo ru-e-yar darakht
apne phulon ko samjhen khaar darakht
char-su hai inhen ka likh piida
ye anasir ke hain jo chaar darakht
mere gulzar men hain shoale phuul
mere har aah shoala-bar darakht
sau fasad ek ishq men utthe
boya ik tukhm uge hazar darakht
jab chala baagh se vo sarv-e-ravan
ho gae taeron ko daar darakht
jis ko tuuba zamana kahta hai
tere ghar men hai saya-dar darakht
tu khizan men jo sair ko nikle
mire ho jaaen be-bahar darakht
phal na laaya nihal-e-ishq apna
phale-phule hazar baar darakht
‘bahr’ kya nashshe men khush aate hain
nahr-e-gulshan ke daar paar darakht
Leave a Reply