tahrir se varna miri kya ho nahin sakta
ik tu hai jo lafzon men ada ho nahin sakta
ankhon men khayalat men sanson men basa hai
chahe bhi to mujh se vo juda ho nahin sakta
jiina hai to ye jabr bhi sahna hi padega
qatra huun samundar se khafa ho nahin sakta
gumrah kiye honge kai phuul se jazbe
aise to koi rah-numa ho nahin sakta
qad mera badhane ka use kaam mila hai
jo apne hi pairon pe khada ho nahin sakta
ai pyaar tire hisse men aaya tiri qismat
vo dard jo chehron se ada ho nahin sakta
Leave a Reply