agar safar men mire saath mera yaar chale
tavaf karta hua mausam-e-bahar chale
laga ke vaqt ko thokar jo khaksar chale
yaqin ke qafile hamrah be-shumar chale
navazna hai to phir is tarah navaz mujhe
ki mere baad mira zikr baar baar chale
ye jism kya hai koi pairahan udhar ka hai
yahin sambhal ke pahna yahin utaar chale
ye jugnuon se bhara asman jahan tak hai
vahan talak tiri nazron ka eqtidar chale
yahi to ek tamanna hai is musafir ki
jo tum nahin to safar men tumhara pyaar chale
Leave a Reply