us ki shabahat kisi shams-o-qamar men nahin
ek use dekh kar koi nazar men nahin
qasid zohra maqam kah use mera salam
jis ka nasheman miri rahguzar men nahin
kya kashish jazb-e-dil tujh men kami hai ki vo
mehvar-e-sayyargan tere asar men nahin
chashm-e-sitara-shumar kushta-sada intizar
diid ki koi naved najm-e-sahar men nahin
ham jo dikhate nahin lala-o-gul ki tarah
ye na samajhna koi daagh jigar men nahin
sabz qaba-e-chaman sirf fareb-e-nazar
aas ki konpal kisi shakh-e-shajar men nahin
ek tujhi ko ‘saba’ kyuun hai thakan ka gila
mauja-e-gul aur hava kaun safar men nahin
Leave a Reply