kabhi be-sabab tum rula kar to dekho
mujhe meri jaan aazma kar to dekho
na chhutega pal bhar ko daman tumhara
kabhi ham ko apna bana kar to dekho
vafa ka mahakta hua phuul ban kar
mahak apni ham par luta kar to dekho
na tutega bandhan kabhi ye hamara
kabhi ham se do pal nibha kar to dekho
abhi tak khade hain isi mod par ham
kabhi tum vahin ham ko aa kar to dekho
kiran zindagani ki utregi dil men
kabhi apna daman bichha kar to dekho
Leave a Reply