kab saman dekhenge ham zakhmon ke bhar jaane ka
naam leta hi nahin vaqt guzar jaane ka
jaane vo kaun hai jo daman-e-dil khinchta hai
jab kabhi ham ne irada kiya mar jaane ka
dast-bardar abhi teri talab se ho jaaen
koi rasta bhi to ho laut ke ghar jaane ka
laata ham tak bhi koi niind se bojhal raten
aata ham ko bhi maza khvab men dar jaane ka
sochte hi rahe puchhenge tiri ankhon se
kis se sikha hai hunar dil men utar jaane ka
Leave a Reply