• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Sara Lams Ka Fitna Hawas Pagal Hain

Hai Sara Lams Ka Fitna Hawas Pagal Hain

hai saara lams ka fitna havas pagal hain

ḳhuda ka shukr ki chehra-shanas pagal hain

tumhare shahr men pagal vo hain jo hanste hain

hamare shahr men saare udaas pagal hain

vo mujh men paani piyegi nahin nahin mujh men

jhagaḌ rahe hain musalsal gilas pagal hain

shu.ur vaale hi goli chalana jante hain

main mutma.in huun mire as-pas pagal hain

mujhe samajhne ki manzil hai muntazir un ki

yaqini baat hai pagal ki aas pagal hain

main un se puchhunga jannat hain bechte kaise

mujhe navaz agar tere paas pagal hain

vo apni sadiyon ko tishna-dahan bana.e ga.e

bujha rahe hain jo lamhon ki pyaas pagal hain

hamari vaqt se banti to kis tarah banti

mizaj-e-vaqt ko aate hi raas pagal hain

tumhare ba.ad siyanon ka haal kya hoga

tumhare ba.ad yahan par udaas pagal hain

libas valon se baḌh kar haya hai ankhon men

hamari ankhon men kuchh be-libas pagal hain

tujhe sata.enge jab tak tiri raza hogi

ham har tarah se tabi.at-shanas pagal hain

tumhare ahd ke sau se hain mohtaram ‘kazim’

hamare ahd men jo ki pachas pagal hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

dil Ke Aate Hi Ye Naqsha Ho Gaya

poet

Tujhe DhunDhti Hain Nazren Mujhe Ek Jhalak Dikha Ja

ahmad-mahfuz

Uth Ja Ki Ab Ye Mauqa Hathon Se Ja Rahega

Bimar Sa Hai Jism-E-Sahar Kanp Raha Hai

rehana-roohi

Koi Jadu Na Fasana Na Fusun Hai Yun Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet