har irada muzmahil har faisla kamzor tha
duur rah kar tum se apna haal hi kuchh aur tha
apne hi andar kahin simTa hua baiTha tha main
ghar ke bahar jab garajte badalon ka shor tha
ik ishare par kisi ke jis ne kaaTe the pahaḌ
sochta huun bazuon men us ke kitna zor thaa?
kar liya hai us ne kyuun tarik shab ka intiḳhab?
muntazir us ke liye to ik sunahra daur thaa!
main ne kitni baar puchha tere ghar ka rasta
zindagi ka mas.ala jis vaqt zer-e-ghaur tha
Leave a Reply