kabhi aa.ine sa bhi sochna mujhe aa gaya
mira dil ke biich hi TuTna mujhe aa gaya
tiri pahli diid ke saath hi vo fusun bhi tha
tujhe dekh kar tujhe dekhna mujhe aa gaya
koi gahre niil sa sehr hai tiri aankh men
ye vo jhiil hai jahan Dubna mujhe aa gaya
mujhe kya jo ho koi lai men sher men rang men
mira dukh ye hai use DhunDna mujhe aa gaya
ki ada-e-yar pe munhasir miri chaal thi
kahin jitna kahin harna mujhe aa gaya
jahan fart-e-masti men kaj-qadam the saman-baran
koi gir raha tha to thamna mujhe aa gaya
baḌe kaam ki thi jo guftugu rahi ru-ba-ru
tu na jaan, par tujhe janna mujhe aa gaya
Leave a Reply