kab zulf-e-dota un ki pareshan nahin hai
kab vahshat-e-dil ka miri saman nahin hai
yadon ko laga.e hue siine se guzar ja
ye rah-e-mohabbat hai kuchh asan nahin hai
duniya men mujhe daulat-e-javed hai hasil
kya dil men mire aap ka arman nahin hai
ai bada-kasho zarf ki kuchh baat karo aaj
saaqi ka yahan aam ab ehsan nahin hai
kya puchhte ho tamkanat-e-husn ka aalam
ab jaise karam ka koi imkan nahin hai
kuchh roz se har neshtar-e-gham hai gavara
kya ye nigah-e-mast ka ehsan nahin hai
arman umang hausla ummid bhi is men
kashana-e-dil dosto viran nahin hai
yuun milte hain mujh se vo sar-e-bazm ‘jamali’
jaise miri un se koi pahchan nahin hai
Leave a Reply