sajida! kin yugon ki masafat samete hue
is bayaban men yunhi bhatakti rahogi
in bagulon ke hamrah yuun raqs karti rahogi
kitne sahraon men tum ne phode hain paanv ke chhale
kitni bedar raton se manga hai tum ne khiraj-e-tamanna
sajida! kuchh kaho
hijr ke kin zamanon men ashkon ki maala piroi
kin hisabon chukaya qarz-e-junun
kaun se marhalon se guzar kar bana ruuh ka pairahan
kis tarah jaan se guzre hain tufan-e-gham
kis tarah tund andhi ki yalghar men
tum ne apni rida ko sambhala
kaise yakh-basta tanhaiyon men
jashn-e-ruh o dil o jaan manaya
shola-e-arzu men
kaise harf o nava ko tapaya
jagti raat ki tirgi ko
kis tarah mutla-e-nur-e-yazdan banaya
kitne sajdon se apni jabin ko sajaya
sajida!
dard ke raston par
kab se mahv-e-safar ho
tum ne in regzaron ki banjar zamin men
kitne raftar o guftar ke gul khilae
is uqubat-kada ki siyahi men
kitne charagh-e-tamanna jalae
sajida!
is tag-o-dau se tum ne
kya kabhi chehra-e-zindagi ko sanvara
kya kisi dil men koi sitara utara
kya zamane ki raftar badli
kya kisi tapte sahra ke zarron ko kundan banaya
kitne zakhmon pe insan ke marham lagaya
zulm ki dastan ko kabhi harf-e-shirin banaya
sajida!
shaam hai zindagi ki
thak ke so jaao sab hao-hu bhuul jaao
kadi dhuup ke kos dar kos
agle zamanon ke naqsh-e-qadam hain
rang mausam badalne laga hai
tum masiha nahin
thak ke so jaao
raqs-e-junun bhuul jaao
Leave a Reply