• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kab dil Shikast-Gan Se Kar Arz-E-Haal Aaya

Kab dil Shikast-Gan Se Kar Arz-E-Haal Aaya

sauda-mohammad-rafi

kab dil shikast-gan se kar arz-e-hal aaya

hai be-sada vo chini jis men ki baal aaya

siine se main dua ko laaya jo shab labon tak

kahne lagi ijabat kidhar khayal aaya

kaunain tak mili thi jis dil ki mujh ko qimat

qismat ki yak nigah par ja us ko daal aaya

bakhshish pe do jahan ke aai thi himmat-e-dahr

lekin na yaan zaban tak harf-e-saval aaya

nazan na ho tu is par gar tujh ko sang men se

gauhar nikalne ka kasb o kamal aaya

arbab-e-fahm aage vo sahab-e-hunar hai

kiina kisi ke dil se jis ko nikal aaya

dair-e-kharab men kal ik mast ki zaban par

ye sher us jagah ke kya hasb-e-hal aaya

aamal dekh tere mai sharm se araq hai

ai mohtasib tujhe bhi kuchh infial aaya

milne ka ek dam bhi yaan zoaf-e-dil hai maane

ukta ke uth gaya vo tab main bahal aaya

nakhl-e-hayat apna gulshan men baghban ne

boya to tha havas kar lekin na paal aaya

iksir hai to kya hai vo musht-e-khak ‘sauda’

khatir pe jab kisi ki jis se malal aaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

parveen-shakir

Nahin Mera Aanchal Maila Hai

Sabz-Kheton Se umaDti Raushni Taswir Ki

Kisi Din to Hamara Dard-E-Dil Soz-E-Jigar Dekho

Falak Pe Chand Hai Aur Pas Ek Sitara Hai

poet

Tanur-E-Waqt Ki Hiddat Se Dar Gae Hum Bhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet