• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaam Itna Mere Pyare charKH-E-Kuhan Se Nikle

Kaam Itna Mere Pyare charKH-E-Kuhan Se Nikle

poet

kaam itna mere pyare charḳh-e-kuhan se nikle

tum se na huun juda main jab jaan tan se nikle

tum halat-e-naza.a men bhi paas mere rahna

ta kalima-e-mohammad mere dahan se nikle

yarab na ta-qayamat muhtaj huun kisi ka

jo ho miri tamanna vo panj-tan se nikle

vahshat na qabr men ho tum samne hi rahna

dast-e-junun na mera bahar kafan se nikle

hai lutf zindagi ka ba.ad-az-fana usi men

nam-e-ḳhuda jo apne sab tan-badan se nikle

roza namaz tasbih pahuncha.enge na vaan tak

hoga visal usi ko jo ma-o-man se nikle

apni ḳhabar na baaqi rah ja.egi kisi ko

parde se gar kahin vo ik bankpan se nikle

yad-e-qad-e-sanam men main duun misal us vaqt

jab kaam koi mera sarv-e-chaman se nikle

‘mardan’ jo koi Duube dariya-e-ishq men vo

chhoTe ḳhudi se apne hubb-e-vatan se nikle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHud-Faramosh-E-Qafas Hum Hain Chaman Yaad Nahin

Jada-E-Marg-E-Musalsal Se Guzarta Jaun

poet

dam Mein Hum Ko Late Ho Tum dil Atka Hai Aur Kahin

Pahle to Bahut Gardish-E-Dauran Se laDa Hun

Ye Shahr-E-Gul KHash-O-KHashak Ho Gaya Kaise

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet