kaam is dil ki tabahi se liya kya jaa.e
sochta huun ki ḳharabe men kiya kya jaa.e
ai kisi yaad ki khiḌki se guzarte mausam
kya diya jaa.e tujhe aur liya kya jaa.e
is gareban ko kisi mauj men aa kar main ne
chaak agar kar hi liya hai to siya kya jaa.e
teri ḳhvahish ke kisi aḳhiri darvaze par
marna mumkin na rahe gar to jiya kya jaa.e
Leave a Reply