jab qaum par aafat aa.i ho jab mulk paḌa ho mushkil men
insan vo kya mar miTne ka ehsas na ho jis ke dil men
hansne ka tariqa paida kar rone ka saliqa paida kar
hans phuul ki surat gulshan men ro sham.a ki surat mahfil men
qatil ke dil ki kamzori ne saara kaam bigaḌ diya
ham tishna-e-shauq-e-shahadat the ḳhanjar bhi tha dast-e-qatil men
mahfil ki mahfil behis hai taari hai jumud insanon par
uTh soz ka aalam barpa kar aur aag laga de har dil men
har qatra dariya banne ko betab dikha.i deta hai
har mauj-e-ravan bechain nazar aati hai firaq-e-sahil men
‘sarshar’ vo kyunkar kahte hain ham qaum o vatan ke ḳhadim hain
Daale na ga.e jo zindan men jakḌe na ga.e jo salasil men
Leave a Reply