junun ka raqs bhi kab tak karunga
kahin main bhi Thikane ja lagunga
hua jaata hai tan ye bojh mujh par
magar ye dukh bhi ab kis se kahunga
bhula duun kyon na main is chup ko aḳhir
zara se zaḳhm ko kitna karunga
ḳhuda ke rang bhi sab khul ga.e hain
gunah apne bhi main kyunkar ginunga
tiri ḳhamoshiyon ki dhuup men bhi
tiri avaz men bhiga rahunga
abhi be-bat kitna hans raha huun
nikal kar bazm se girya karunga
nahin va.ada nahin hoga koi ab
bahut hoga to bas zinda rahunga
Leave a Reply